ghamon ki dhup mein jalta hun misl-e-sahra main
ġhamoñ kī dhuup meñ jaltā huuñ misl-e-sahrā maiñ
bichhaḌ gayā mirā saaya khaḌā huuñ tanhā maiñ
koī bhī saath kahāñ thā rah-e-mohabbat meñ
ye aur baat ki ab ho gayā akelā maiñ
kahīñ to bichhḌe huoñ kā surāġh pā.ūñgā
nikal paḌā huuñ yahī soch kar akelā maiñ
zamāna mujh ko samajhne meñ der kartā rahā
ye aur baat zamāne ko bhī na samjhā maiñ
ghamon ki dhup mein jalta hun misl-e-sahra main
bichhaD gaya mera saya khaDa hun tanha main
koi bhi sath kahan tha rah-e-mohabbat mein
ye aur baat ki ab ho gaya akela main
kahin to bichhDe huon ka suragh paunga
nikal paDa hun yahi soch kar akela main
zamana mujh ko samajhne mein der karta raha
ye aur baat zamane ko bhi na samjha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.