ghamon ki dhup thi aur saeban na milta tha
ġhamoñ kī dhuup thī aur sā.ebāñ na miltā thā
gharoñ se nikle huoñ ko makāñ na miltā thā
hamāre paañv ke nīche zamīn thī lekin
hamāre sar pe koī āsmāñ na miltā thā
tumhārā khoyā huā lams apne kamre meñ
vahīñ pe DhūñDh rahe the jahāñ na miltā thā
jo dard ham ne sañbhālā huā thā siine meñ
kise sunāte koī mehrbāñ na miltā thā
jo saañs saañs mayassar rahā mujhe barsoñ
bichhaḌ ga.e to phir us kā nishāñ na miltā thā
na.ī na.ī thī mohabbat magar diloñ meñ thī
ye aisī aag thī jis kā dhuāñ na miltā thā
vo roz baaġh meñ aatī thī sair karne ko
parinde ḳhush the unheñ āb-o-dāna miltā thā
ye log jis ke bahāo ke giit gaate the
hameñ vo dariyā kabhī bhī ravāñ na miltā thā
ham aise bolne vaale kahāñ the par 'ārib'
vo boltā to hameñ bhī bahāna miltā thā
ghamon ki dhup thi aur saeban na milta tha
gharon se nikle huon ko makan na milta tha
hamare panw ke niche zamin thi lekin
hamare sar pe koi aasman na milta tha
tumhaara khoya hua lams apne kamre mein
wahin pe DhunDh rahe the jahan na milta tha
jo dard hum ne sanbhaala hua tha sine mein
kise sunate koi mehrban na milta tha
jo sans sans mayassar raha mujhe barson
bichhaD gae to phir us ka nishan na milta tha
nai nai thi mohabbat magar dilon mein thi
ye aisi aag thi jis ka dhuan na milta tha
wo roz bagh mein aati thi sair karne ko
parinde KHush the unhen aab-o-dana milta tha
ye log jis ke bahao ke git gate the
hamein wo dariya kabhi bhi rawan na milta tha
hum aise bolne wale kahan the par 'arib'
wo bolta to hamein bhi bahana milta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.