ghamon ki dopahar mein kaam aaya
ġhamoñ kī dopahar meñ kaam aayā
kisī ke reshmī āñchal kā saaya
ye kis ne phir hameñ āvāz dī hai
hamāre ġham-kade meñ kaun aayā
mirī tārīk hastī meñ na jaane
charāġh-e-ārzū kis ne jalāyā
mah-o-anjum bahut be-nūr se the
shab-e-ġham dāġh-e-dil hī kaam aayā
kisī zohrā-jabīñ kā pyaar 'nayyar'
mire dil meñ ḳhushī ban kar samāyā
ghamon ki dopahar mein kaam aaya
kisi ke reshmi aanchal ka saya
ye kis ne phir hamein aawaz di hai
hamare gham-kade mein kaun aaya
meri tarik hasti mein na jaane
charagh-e-arzu kis ne jalaya
mah-o-anjum bahut be-nur se the
shab-e-gham dagh-e-dil hi kaam aaya
kisi zohra-jabin ka pyar 'nayyar'
mere dil mein KHushi ban kar samaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.