ghamon ki oDhni oDhe khaDe hain zindagani mein
ghamon ki oDhni oDhe khaDe hain zindagani mein
Monika Sharma Sarthi
MORE BYMonika Sharma Sarthi
ġhamoñ kī oḌhnī oḌhe khaḌe haiñ zindagānī meñ
nikāle piiḌā kā ghūñghaT sadā apnī kahānī meñ
sukūñ katrā nahīñ barsā sadā taḌpe sadā tarse
usī bad-hāl manzar ne lagā dī aag paanī meñ
mire kañdhe mire yāroñ mire sadmoñ ne toḌe haiñ
uThā.e phir rahe the bojh ġham kā shādmānī meñ
musāfir har koī hotā hai is rāh-e-mohabbat kā
kabhī ham bhī the dīvāne isī dilkash ravānī meñ
nahīñ shikva añdheroñ se shikāyat hai ujāloñ se
sadā zaḳhmoñ pe chamke haiñ bahut hī bad-gumānī meñ
sunā.e 'sārthī' kyā dāstāñ apnī udāsī kī
kahīñ chhalke na āñkhoñ se lahū qissa-bayānī meñ
ghamon ki oDhni oDhe khaDe hain zindagani mein
nikale piDa ka ghunghaT sada apni kahani mein
sukun katra nahin barsa sada taDpe sada tarse
usi bad-haal manzar ne laga di aag pani mein
mere kandhe mere yaron mere sadmon ne toDe hain
uThae phir rahe the bojh gham ka shadmani mein
musafir har koi hota hai is rah-e-mohabbat ka
kabhi hum bhi the diwane isi dilkash rawani mein
nahin shikwa andheron se shikayat hai ujalon se
sada zaKHmon pe chamke hain bahut hi bad-gumani mein
sunae 'sarthi' kya dastan apni udasi ki
kahin chhalke na aankhon se lahu qissa-bayani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.