ghamon ki rah mein taskin ka maqam to hai
ghamon ki rah mein taskin ka maqam to hai
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
ġhamoñ kī raah meñ taskīn kā maqām to hai
nahīñ hai sub.h-e-banaras avadh kī shaam to hai
nahīñ hai gehūñ mayassar to jau ġhanīmat hai
nahīñ hai huur jo biivī siyāh-fām to hai
nikammā chor uchakkā sahī magar jānāñ
tumhāre dil meñ hamārā koī maqām to hai
mire mizāj kī rangīniyāñ na dekho tum
tumhāre haath meñ begam mirī lagām to hai
na jaane patlī galī se vo kab nikal legā
nahīñ hai T b yā b p magar zukām to hai
bas itnā soch ke ḳhush huuñ maiñ apnī hālat par
faqīr hī sahī par bādshāh naam to hai
bane na ham jo minister to ġham nahīñ 'vāhid'
hamāre saath meñ chamchoñ kā izhdihām to hai
ghamon ki rah mein taskin ka maqam to hai
nahin hai subh-e-banaras awadh ki sham to hai
nahin hai gehun mayassar to jau ghanimat hai
nahin hai hur jo biwi siyah-fam to hai
nikamma chor uchakka sahi magar jaanan
tumhaare dil mein hamara koi maqam to hai
mere mizaj ki ranginiyan na dekho tum
tumhaare hath mein begam meri lagam to hai
na jaane patli gali se wo kab nikal lega
nahin hai T b ya b p magar zukaam to hai
bas itna soch ke KHush hun main apni haalat par
faqir hi sahi par baadshah nam to hai
bane na hum jo minister to gham nahin 'wahid'
hamare sath mein chamchon ka izhdiham to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.