ghamon ki ye ajab barsat kya hai
ġhamoñ kī ye 'ajab barsāt kyā hai
mirī jānāñ tirī sauġhāt kyā hai
maiñ aksar baiTh kar ye sochtā huuñ
maiñ ḳhud se kyoñ ḳhafā huuñ baat kyā hai
chale jaanā hai duniyā se sabhī ko
magar ye sochtā huuñ saath kyā hai
ḳhudā ne chāhā to ik din mileñge
bashar haiñ ham hamāre haath kyā hai
mohabbat par ye fatvā dene vaale
ye pahle pūchhte haiñ zaat kyā hai
hilā paayā na tūfāñ bhī mujhe jab
mire dushman tirī auqāt kyā hai
ghamon ki ye 'ajab barsat kya hai
meri jaanan teri saughat kya hai
main aksar baiTh kar ye sochta hun
main KHud se kyon KHafa hun baat kya hai
chale jaana hai duniya se sabhi ko
magar ye sochta hun sath kya hai
KHuda ne chaha to ek din milenge
bashar hain hum hamare hath kya hai
mohabbat par ye fatwa dene wale
ye pahle puchhte hain zat kya hai
hila paya na tufan bhi mujhe jab
mere dushman teri auqat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.