ghamon ko ponchh len chehra sanwaren
ġhamoñ ko poñchh leñ chehra sañvāreñ
chalo ham apnī tasvīreñ utāreñ
qadam rakhne se pahle ghar ke andar
ġhamoñ ke bojh ko bāhar utāreñ
sunānā hai hameñ dukh-dard apnā
haiñ sab masrūf-e-ġham kis ko pukāreñ
sabhī apne the ham ne jiit de dī
agar hoñ ġhair ham hargiz na hāreñ
Thikāne jin ke toḌe jā rahe haiñ
batā.eñ din kahāñ rāteñ guzāreñ
agar ho bahs puurī tishnagī par
uTheñ sūkhī zamīñ par paañv māreñ
ghamon ko ponchh len chehra sanwaren
chalo hum apni taswiren utaren
qadam rakhne se pahle ghar ke andar
ghamon ke bojh ko bahar utaren
sunana hai hamein dukh-dard apna
hain sab masruf-e-gham kis ko pukaren
sabhi apne the hum ne jit de di
agar hon ghair hum hargiz na haaren
Thikane jin ke toDe ja rahe hain
bataen din kahan raaten guzaren
agar ho bahs puri tishnagi par
uThen sukhi zamin par panw maren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.