ghamon mein hans ke bitana hai kya kiya jae
ġhamoñ meñ hans ke bitānā hai kyā kiyā jaa.e
yahī to sab kā fasāna hai kyā kiyā jaa.e
uge haiñ jin kī hathelī meñ saikḌoñ kāñTe
unhīñ se haath milānā hai kyā kiyā jaa.e
vo jin kā naam bhī lene se hoñT jalte haiñ
unheñ adab se bulānā hai kyā kiyā jaa.e
hamārī pyaas ko kuchh buuñd aur samundar tak
sulagtī ret se jaanā hai kyā kiyā jaa.e
jahāñ havā ki mukammal ijāra-dārī hai
vahīñ charāġh jalānā hai kyā kiyā jaa.e
nahīñ kisī kā muḳhālif maiñ aaj bhī lekin
mire ḳhilāf zamāna hai kyā kiyā jaa.e
hazāroñ tanziya tīroñ kā āj-kal 'tashna'
hamārā dil hī nishāna hai kyā kiyā jaa.e
ghamon mein hans ke bitana hai kya kiya jae
yahi to sab ka fasana hai kya kiya jae
uge hain jin ki hatheli mein saikDon kanTe
unhin se hath milana hai kya kiya jae
wo jin ka nam bhi lene se honT jalte hain
unhen adab se bulana hai kya kiya jae
hamari pyas ko kuchh bund aur samundar tak
sulagti ret se jaana hai kya kiya jae
jahan hawa ki mukammal ijara-dari hai
wahin charagh jalana hai kya kiya jae
nahin kisi ka muKHalif main aaj bhi lekin
mere KHilaf zamana hai kya kiya jae
hazaron tanziya tiron ka aaj-kal 'tashna'
hamara dil hi nishana hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.