ghamon se bashar ko riha dekhna
ġhamoñ se bashar ko rihā dekhnā
sulagtī koī jab chitā dekhnā
guzarnā aqīdat se kuchh is tarah
ki patthar meñ apnā ḳhudā dekhnā
ye karnā duā ki lage na nazar
shajar jab koī tum harā dekhnā
na ho mutma.in sauñp kar kashtiyāñ
Dubo de na ye nāḳhudā dekhnā
bulandī pe ḳhud ko bhī paanā kabhī
samay kī badaltī adā dekhnā
hai mumkin natīja judā.ī bhī ho
magar ishq kī ibtidā dekhnā
na jaane ghaḌī kaun ho āḳhirī
hue farz saare adā dekhnā
ghamon se bashar ko riha dekhna
sulagti koi jab chita dekhna
guzarna aqidat se kuchh is tarah
ki patthar mein apna KHuda dekhna
ye karna dua ki lage na nazar
shajar jab koi tum hara dekhna
na ho mutmain saunp kar kashtiyan
Dubo de na ye naKHuda dekhna
bulandi pe KHud ko bhi pana kabhi
samay ki badalti ada dekhna
hai mumkin natija judai bhi ho
magar ishq ki ibtida dekhna
na jaane ghaDi kaun ho aaKHiri
hue farz sare ada dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.