ghamon se istifada kar raha hun
ġhamoñ se istifāda kar rahā huuñ
mohabbat kā i.aada kar rahā huuñ
tire naqsh-e-qadam se duur haT kar
alag ta.amīr jaada kar rahā huuñ
tire har kaam ko nekī samajh kar
zamāne se ziyāda kar rahā huuñ
Dhake tan bhī mile izzat bhī jis se
vo tahzīb-e-libāda kar rahā huuñ
kisī se daad bhī lenī hai mujh ko
bayān-e-sher saada kar rahā huuñ
hamesha sach ugalvātā rahā hai
tabhī tārīf-e-bāda kar rahā huuñ
vo jis se khā chukā huuñ maat 'jāmī'
usī kā phir irāda kar rahā huuñ
ghamon se istifada kar raha hun
mohabbat ka iada kar raha hun
tere naqsh-e-qadam se dur haT kar
alag tamir jada kar raha hun
tere har kaam ko neki samajh kar
zamane se ziyaada kar raha hun
Dhake tan bhi mile izzat bhi jis se
wo tahzib-e-libaada kar raha hun
kisi se dad bhi leni hai mujh ko
bayan-e-sher sada kar raha hun
hamesha sach ugalwata raha hai
tabhi tarif-e-baada kar raha hun
wo jis se kha chuka hun mat 'jami'
usi ka phir irada kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.