ganj-e-maKHfi se dilon ko ba-KHabar karta hua
ganj-e-maḳhfī se diloñ ko bā-ḳhabar kartā huā
ik tajassus zaat ke andar safar kartā huā
ik sadā pe munjamid hotī huī sab sā.ateñ
ek lamha zindagī ko muḳhtasar kartā huā
ik zarā sī baat par manzar dhuāñ hote hue
ik zarā sā zahr bastī ko khañDar kartā huā
sabz lamhe vaqt kī nam aañkh se girte hue
zard mausam manzaroñ ko be-samar kartā huā
kis kā rishta TuuT kar bikhrā hai merī aañkh meñ
kaun hai ye zaḳhm sā siine meñ ghar kartā huā
mere andar lamha lamha Dūbtī ik kā.enāt
'tāj' koī naqsh hai dil meñ bhañvar kartā huā
ganj-e-maKHfi se dilon ko ba-KHabar karta hua
ek tajassus zat ke andar safar karta hua
ek sada pe munjamid hoti hui sab saaten
ek lamha zindagi ko muKHtasar karta hua
ek zara si baat par manzar dhuan hote hue
ek zara sa zahr basti ko khanDar karta hua
sabz lamhe waqt ki nam aankh se girte hue
zard mausam manzaron ko be-samar karta hua
kis ka rishta TuT kar bikhra hai meri aankh mein
kaun hai ye zaKHm sa sine mein ghar karta hua
mere andar lamha lamha Dubti ek kaenat
'taj' koi naqsh hai dil mein bhanwar karta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.