ganwa kar aan kuchh paya to kya hai
gañvā kar aan kuchh paayā to kyā hai
ḳhudī kā giit ab gaayā to kyā hai
kuchh aisī āñdhiyāñ dil meñ chalī haiñ
vo is tūfāñ meñ ghabrāyā to kyā hai
tanī hai āsmāñ pe kaalī chādar
diyā ik raushnī laayā to kyā hai
azāb-e-āḳhirat kā ḳhauf le kar
kisī ke kaam jo aayā to kyā hai
mohabbat dar darīchoñ se varā hai
zamīñ par ho rahe saayā to kyā hai
navā-pairā chaman meñ bulbuleñ haiñ
ḳhizāñ kā rang agar chhāyā to kyā hai
ganwa kar aan kuchh paya to kya hai
KHudi ka git ab gaya to kya hai
kuchh aisi aandhiyan dil mein chali hain
wo is tufan mein ghabraya to kya hai
tani hai aasman pe kali chadar
diya ek raushni laya to kya hai
azab-e-aKHirat ka KHauf le kar
kisi ke kaam jo aaya to kya hai
mohabbat dar darichon se wara hai
zamin par ho rahe saya to kya hai
nawa-paira chaman mein bulbulen hain
KHizan ka rang agar chhaya to kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.