gar banana hai mohabbat ka koi ghar sahab
gar banānā hai mohabbat kā koī ghar sāhab
dastakeñ dījiye logoñ ke diloñ par sāhab
jitnī baḌhtī ga.iiñ tanhā.iyāñ jism-o-jāñ kī
gahrā hotā gayā āñkhoñ kā samundar sāhab
duur tak us ko bichhaḌte hue ham dekh sakeñ
rok lo aañsū ki dhundlā.e na manzar sāhab
shahr jaadū kā hai chalte raho bas chalte raho
muḌ ke dekhoge to ho jāoge patthar sāhab
koī paanī bharī thālī mire aage rakh de
ḳhvāhisheñ ho ga.iiñ ab chāñd barābar sāhab
gar banana hai mohabbat ka koi ghar sahab
dastaken dijiye logon ke dilon par sahab
jitni baDhti gain tanhaiyan jism-o-jaan ki
gahra hota gaya aankhon ka samundar sahab
dur tak us ko bichhaDte hue hum dekh saken
rok lo aansu ki dhundlae na manzar sahab
shahr jadu ka hai chalte raho bas chalte raho
muD ke dekhoge to ho jaoge patthar sahab
koi pani bhari thaali mere aage rakh de
KHwahishen ho gain ab chand barabar sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.