gar be-naqab aariz-e-taban kare koi
gar be-naqāb āriz-e-tābāñ kare koī
īmāñ ko kufr kufr ko īmāñ kare koī
bijlī kī ye chamak ye papīhoñ kī pī kahāñ
uf kis tarah basar shab-e-hijrāñ kare koī
qatre ko maut aa.ī jo dariyā se mil gayā
ab kyā kisī ke ishq kā armāñ kare koī
ham ḳhaak meñ mile to mile lekin ai vafā
kyā fā.eda ki un ko pashemāñ kare koī
ashkoñ ne ghar ko ġhairat-e-sahrā banā diyā
ab kyuuñ junūñ meñ azm-e-bayābāñ kare koī
uThte hue shabāb kī añgḌā.ī al-amāñ
kyoñ ab na chāk-chāk garebāñ kare koī
pahlū meñ jalva-gar hai vo kāfir adā 'valī'
kis tarah zabt shorish-e-pinhāñ kare koī
gar be-naqab aariz-e-taban kare koi
iman ko kufr kufr ko iman kare koi
bijli ki ye chamak ye papihon ki pi kahan
uf kis tarah basar shab-e-hijran kare koi
qatre ko maut aai jo dariya se mil gaya
ab kya kisi ke ishq ka arman kare koi
hum KHak mein mile to mile lekin ai wafa
kya faeda ki un ko pasheman kare koi
ashkon ne ghar ko ghairat-e-sahra bana diya
ab kyun junun mein azm-e-bayaban kare koi
uThte hue shabab ki angDai al-aman
kyon ab na chaak-chaak gareban kare koi
pahlu mein jalwa-gar hai wo kafir ada 'wali'
kis tarah zabt shorish-e-pinhan kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.