gar dar-e-harf-e-sadaqat ye nahin tha phir kyun
gar dar-e-harf-e-sadāqat ye nahīñ thā phir kyuuñ
tum ne taalā mire hoñToñ pe lagāyā phir kyuuñ
lab pe lafzoñ ke kañval tum ne sajā.e the agar
to takallum ke jazīroñ se kināra phir kyuuñ
maanā qaidī se hukūmat na Daregī lekin
shāh-rāhoñ pe salāsil kā tamāsha phir kyuuñ
chīḳh uTThoge jo dekhīñ mirī banjar āñkheñ
shauq itnā thā to dariyā ko utārā phir kyuuñ
tum agar mūrid-e-ilzām nahīñ the to tumheñ
us 'adālat ne gunahgār banāyā phir kyuuñ
maslahat koī to darpesh thī 'shārib' varna
us ne tasvīr pe ye rang ubhārā phir kyuuñ
gar dar-e-harf-e-sadaqat ye nahin tha phir kyun
tum ne tala mere honTon pe lagaya phir kyun
lab pe lafzon ke kanwal tum ne sajae the agar
to takallum ke jaziron se kinara phir kyun
mana qaidi se hukumat na Daregi lekin
shah-rahon pe salasil ka tamasha phir kyun
chiKH uTThoge jo dekhin meri banjar aankhen
shauq itna tha to dariya ko utara phir kyun
tum agar murid-e-ilzam nahin the to tumhein
us 'adalat ne gunahgar banaya phir kyun
maslahat koi to darpesh thi 'shaarib' warna
us ne taswir pe ye rang ubhaara phir kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.