gar dard mein bhi lutf-o-maza DhunD lenge log
gar dard meñ bhī lutf-o-maza DhūñD leñge log
mumkin hai zahr meñ bhī shifā DhūñD leñge log
saaya jo de rahā hai unheñ phal ke saath saath
ik roz us shajar meñ ḳhudā DhūñD leñge log
gum honā chāhtā huuñ par is kashmakash meñ huuñ
mujh ko na DhūñD pā.eñge yā DhūñD leñge log
kuchh bhī nahīñ milegā suḳhan ke sivā unheñ
aa kar mire makān meñ kyā DhūñD leñge log
un kī ġharaz kī baat agar hai to jaan lo
inkār meñ bhī merī razā DhūñD leñge log
nādīda ik vabā ne dikhāyā hai aa.ina
da.avā hai phir bhī āb-e-baqā DhūñD leñge log
hotā nahīñ hai bhiiḌ kā chehrā koī magar
is bhiiḌ meñ bhī apnā sagā DhūñD leñge log
'anjum' gunāhgār na sābit huā magar
us ke liye bhī koī sazā DhūñD leñge log
gar dard mein bhi lutf-o-maza DhunD lenge log
mumkin hai zahr mein bhi shifa DhunD lenge log
saya jo de raha hai unhen phal ke sath sath
ek roz us shajar mein KHuda DhunD lenge log
gum hona chahta hun par is kashmakash mein hun
mujh ko na DhunD paenge ya DhunD lenge log
kuchh bhi nahin milega suKHan ke siwa unhen
aa kar mere makan mein kya DhunD lenge log
un ki gharaz ki baat agar hai to jaan lo
inkar mein bhi meri raza DhunD lenge log
nadida ek waba ne dikhaya hai aaina
dawa hai phir bhi aab-e-baqa DhunD lenge log
hota nahin hai bhiD ka chehra koi magar
is bhiD mein bhi apna saga DhunD lenge log
'anjum' gunahgar na sabit hua magar
us ke liye bhi koi saza DhunD lenge log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.