gar dil se bhulai meri chahat nahin jati
gar dil se bhulā.ī mirī chāhat nahīñ jaatī
kyuuñ phir tirī inkār kī aadat nahīñ jaatī
phir oḌh lī hai ham ne tire naam kī chādar
phir dil se, vahī ghar kī zarūrat nahīñ jaatī
kyuuñ raat ke parde meñ chhupā din nahīñ ātā?
kyuuñ aañkh se lipTī ye masāfat nahīñ jaatī
kyuuñ vaqt rukā hai mirī āñkhoñ meñ abhī tak?
kyuuñ lams kī tere vo tamāzat nahīñ jaatī
kyuuñ vasl kī bārish nahīñ hotī mire āñgan?
kyuuñ hijr kī 'nāhīd' ye hiddat nahīñ jaatī
gar dil se bhulai meri chahat nahin jati
kyun phir teri inkar ki aadat nahin jati
phir oDh li hai hum ne tere nam ki chadar
phir dil se, wahi ghar ki zarurat nahin jati
kyun raat ke parde mein chhupa din nahin aata?
kyun aankh se lipTi ye masafat nahin jati
kyun waqt ruka hai meri aankhon mein abhi tak?
kyun lams ki tere wo tamazat nahin jati
kyun wasl ki barish nahin hoti mere aangan?
kyun hijr ki 'nahid' ye hiddat nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.