gar dosto tumne use dekha nahin hota
gar dosto tum ne use dekhā nahīñ hotā
kahne kā tumhāre mujhe shikvā nahīñ hotā
gar kahiye ki jī milne ko terā nahīñ hotā
kahtā hai ki haañ haañ nahīñ hotā nahīñ hotā
qāsid ke bhī gar aane kī ummīd na hotī
ik dam bhī to jiine kā bharosā nahīñ hotā
yūñhī sahī ham hijr meñ mar jaate balā se
bas aur to kuchh is se ziyāda nahīñ hotā
kyuuñ kahte ho tum mujh se ki aanā nahīñ manzūr
ye kis liye kahte ho ki aanā nahīñ hotā
go ġhair burā.ī se kareñ zikr hamārā
itnā bhī to vaañ zikr hamārā nahīñ hotā
lab tak bhī kabhī harf-e-tamannā nahīñ aayā
aisā koī mahrūm-e-tamannā nahīñ hotā
bīmārī-e-hijrāñ se to marnā hī bhalā thā
achchhā jo maiñ hotā to kuchh achchhā nahīñ hotā
gar ġhair se kuchh tum ko mohabbat nahīñ hotī
to ham ko ye rashk-e-qalaq-afzā nahīñ hotā
ye sach hai ki tum aaoge par dil ko karūñ kyā
kahne kā yaqīñ aap ke aslā nahīñ hotā
hotā hai vo sab kuchh jo sunā ho kabhī tum ne
ik tere na hone se yahāñ kyā nahīñ hotā
ab samjhe ki yuuñ ham ko bulāte na kabhī tum
gar aap kī mahfil kā ye naqshā nahīñ hotā
go jhuuT ho dhokā ho tasallī to hai dil ko
hotā hai qalaq aur jo va.ada nahīñ hotā
maqbūl tamannā to 'nizām' apnī kahāñ ho
maqbūl vahāñ uzr-e-tamannā nahīñ hotā
gar dosto tum ne use dekha nahin hota
kahne ka tumhaare mujhe shikwa nahin hota
gar kahiye ki ji milne ko tera nahin hota
kahta hai ki han han nahin hota nahin hota
qasid ke bhi gar aane ki ummid na hoti
ek dam bhi to jine ka bharosa nahin hota
yunhi sahi hum hijr mein mar jate bala se
bas aur to kuchh is se ziyaada nahin hota
kyun kahte ho tum mujh se ki aana nahin manzur
ye kis liye kahte ho ki aana nahin hota
go ghair burai se karen zikr hamara
itna bhi to wan zikr hamara nahin hota
lab tak bhi kabhi harf-e-tamanna nahin aaya
aisa koi mahrum-e-tamanna nahin hota
bimari-e-hijran se to marna hi bhala tha
achchha jo main hota to kuchh achchha nahin hota
gar ghair se kuchh tum ko mohabbat nahin hoti
to hum ko ye rashk-e-qalaq-afza nahin hota
ye sach hai ki tum aaoge par dil ko karun kya
kahne ka yaqin aap ke asla nahin hota
hota hai wo sab kuchh jo suna ho kabhi tum ne
ek tere na hone se yahan kya nahin hota
ab samjhe ki yun hum ko bulate na kabhi tum
gar aap ki mahfil ka ye naqsha nahin hota
go jhuT ho dhoka ho tasalli to hai dil ko
hota hai qalaq aur jo wada nahin hota
maqbul tamanna to 'nizam' apni kahan ho
maqbul wahan uzr-e-tamanna nahin hota
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.