gar ishq se waqif mare mahbub na hota
gar ishq se vāqif mare mahbūb na hotā
hotā na maiñ mahjūr vo mahjūb na hotā
āfat-talab apne jo dil o diida na hote
tālib maiñ tirā tū mirā matlūb na hotā
merī sī tarah ishq se hotā kabhī betāb
e.ajāz-numā sabr kā ayyūb na hotā
naame kā mire ye thā javāb ai mah-e-nau-ḳhat
ye qā.eda-e-qāsid-o-maktūb na hotā
tarġhīb-e-vafā karnā tujhe mujh pe ravā thā
gar sheva jafā kā tirā marġhūb na hotā
'hasrat' na agar us kā qad o zulf banāte
duniyā meñ kahīñ fitna-o-āshob na hotā
gar ishq se waqif mare mahbub na hota
hota na main mahjur wo mahjub na hota
aafat-talab apne jo dil o dida na hote
talib main tera tu mera matlub na hota
meri si tarah ishq se hota kabhi betab
eajaz-numa sabr ka ayyub na hota
name ka mere ye tha jawab ai mah-e-nau-KHat
ye qaeda-e-qasid-o-maktub na hota
targhib-e-wafa karna tujhe mujh pe rawa tha
gar shewa jafa ka tera marghub na hota
'hasrat' na agar us ka qad o zulf banate
duniya mein kahin fitna-o-ashob na hota
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.