gar jafa ki na ho wafa mane
gar jafā kī na ho vafā maan.e
koī zālim nahīñ tirā maan.e
chāra-gar ke ilāhī TūTeñ haath
ho ga.ī dard kī davā maan.e
sāmne tere dam na niklā haa.e
hasratoñ kī huī qazā maan.e
kyuuñ na ulTī naqāb chehre se
hashr kī kyuuñ huī hayā maan.e
kyuuñ na pherī chhurī rukā kyuuñ haath
terā jallād kaun thā maan.e
chhoḌ kar parda haT gayā vo shoḳh
naala dīdār kā huā maan.e
'āsmān' us qamar ke aane kā
huā iz.hār-e-mudda.ā maan.e
gar jafa ki na ho wafa mane
koi zalim nahin tera mane
chaara-gar ke ilahi TuTen hath
ho gai dard ki dawa mane
samne tere dam na nikla hae
hasraton ki hui qaza mane
kyun na ulTi naqab chehre se
hashr ki kyun hui haya mane
kyun na pheri chhuri ruka kyun hath
tera jallad kaun tha mane
chhoD kar parda haT gaya wo shoKH
nala didar ka hua mane
'asman' us qamar ke aane ka
hua izhaar-e-muddaa mane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.