gar kabhi fursat mile to
gar kabhī fursat mile to
dekh lenā gul khile to
kuchh samajh paayā na lekin
shukr hai vo lab hile to
dil kī baat na dil meñ rakhnā
kah denā gar dil mile to
kahlā.eñge aap masīhā
merā koī zaḳhm sile to
muntazir haiñ aap kis ke
chal diye hī qāfile to
sadiyoñ tak chalte rahte haiñ
chalne vaale silsile to
vo na hogā jo huā hai
gar kabhī ham phir mile to
gar kabhi fursat mile to
dekh lena gul khile to
kuchh samajh paya na lekin
shukr hai wo lab hile to
dil ki baat na dil mein rakhna
kah dena gar dil mile to
kahlaenge aap masiha
mera koi zaKHm sile to
muntazir hain aap kis ke
chal diye hi qafile to
sadiyon tak chalte rahte hain
chalne wale silsile to
wo na hoga jo hua hai
gar kabhi hum phir mile to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.