gar KHuda kabe mein rahta hai to but-KHane mein kaun
gar ḳhudā ka.abe meñ rahtā hai to but-ḳhāne meñ kaun
har hai gangā jal meñ to zamzam ke paimāne meñ kaun
qais ko jab le chale bastī kī jānib yuuñ kahā
lailā ābādī meñ rahtī hai to vīrāne meñ kaun
daar par us ko chaḌhāyā par na ye samjhā koī
thā anal-haq kah rahā mansūr dīvāne meñ kaun
kis se bāteñ kar rahā hai mujh ko bhī zāhid dikhā
chhup ke baiThā hai terī tasbīh ke daane meñ kaun
ho ke tum pīr-e-muġhāñ masjid ko 'asġhar' chal diye
ye to batlāo ki ab jā.egā maiḳhāne meñ kaun
gar KHuda kabe mein rahta hai to but-KHane mein kaun
har hai ganga jal mein to zamzam ke paimane mein kaun
qais ko jab le chale basti ki jaanib yun kaha
laila aabaadi mein rahti hai to virane mein kaun
dar par us ko chaDhaya par na ye samjha koi
tha anal-haq kah raha mansur diwane mein kaun
kis se baaten kar raha hai mujh ko bhi zahid dikha
chhup ke baiTha hai teri tasbih ke dane mein kaun
ho ke tum pir-e-mughan masjid ko 'asghar' chal diye
ye to batlao ki ab jaega maiKHane mein kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.