Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka

Joshish Azimabadi

gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    gar koī kaaT le sar bhī tire dīvāne

    par ye saudā-e-mohabbat hai nahīñ jaane

    mast rakh yaad meñ us chashm tā-roz-e-jazā

    muñh na dikhlā mujhe yā-rab kisī mai-ḳhāne

    mere dil ko bhī na hove havas-e-bosa agar

    āshnā lab se tire lab na ho paimāne

    husn aur ishq mazkūr na hove jab tak

    mujh ko bhātā nahīñ sunñā kisī afsāne

    kyuuñ na muztar huuñ use dekh ke dekho to sahī

    sham.a ke sāmne kyā haal hai parvāne

    haath uThtā nahīñ ai yaar jo suljhāne se

    dil tirī zulf se uljhā hai magar shāne

    go ki mar jaa.e tire ishq meñ 'joshish' lekin

    shikva-e-jaur-o-jafā muñh pe nahīñ laane

    gar koi kaT le sar bhi tere diwane ka

    par ye sauda-e-mohabbat hai nahin jaane ka

    mast rakh yaad mein us chashm ki ta-roz-e-jaza

    munh na dikhla mujhe ya-rab kisi mai-KHane ka

    mere dil ko bhi na howe hawas-e-bosa agar

    aashna lab se tere lab na ho paimane ka

    husn aur ishq ka mazkur na howe jab tak

    mujh ko bhata nahin sunna kisi afsane ka

    kyun na muztar hun use dekh ke dekho to sahi

    shama ke samne kya haal hai parwane ka

    hath uThta nahin ai yar jo suljhane se

    dil teri zulf se uljha hai magar shane ka

    go ki mar jae tere ishq mein 'joshish' lekin

    shikwa-e-jaur-o-jafa munh pe nahin lane ka

    Source :
    • Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now