gar mante ho usko KHuda mutmain raho
gar mānte ho us ko ḳhudā mutma.in raho
jo bhī milā hai jitnā milā mutma.in raho
jab lashkar-e-umīd ko ḳhauf-e-shikast thā
tab āsmāñ se aa.ī sadā mutma.in raho
aurat ne jab bhī baat kī apne huqūq kī
duniyā ne saath mil ke kahā mutma.in raho
sāgar hai sirf dariyā kī mauzūñ ke dam se hī
ab ye bharam bhī TuuT gayā mutma.in raho
tum peḌ se phaloñ kī tavaqqo.a hī mat rakho
gar mil rahī hai is se havā mutma.in raho
ham hijr meñ ye kahte rahe dil se baar baar
vo hai faqat zarā sā ḳhafā mutma.in raho
chāragarī kī jab bhī kī zaḳhmoñ ne iltijā
hañs kar faqīr ne ye kahā mutma.in raho
saare bayān-e-ishq meñ mere ḳhilāf haiñ
tum ko nahīñ milegī sazā mutma.in raho
gar mante ho us ko KHuda mutmain raho
jo bhi mila hai jitna mila mutmain raho
jab lashkar-e-umid ko KHauf-e-shikast tha
tab aasman se aai sada mutmain raho
aurat ne jab bhi baat ki apne huquq ki
duniya ne sath mil ke kaha mutmain raho
sagar hai sirf dariya ki mauzun ke dam se hi
ab ye bharam bhi TuT gaya mutmain raho
tum peD se phalon ki tawaqqoa hi mat rakho
gar mil rahi hai is se hawa mutmain raho
hum hijr mein ye kahte rahe dil se bar bar
wo hai faqat zara sa KHafa mutmain raho
chaaragari ki jab bhi ki zaKHmon ne iltija
hans kar faqir ne ye kaha mutmain raho
sare bayan-e-ishq mein mere KHilaf hain
tum ko nahin milegi saza mutmain raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.