gar mere hath mein hota nahin hone deta
gar mire haath meñ hotā nahīñ hone detā
maiñ kabhī chāñd ko tujh sā nahīñ hone detā
ab to sab Thiik hai lekin ye jo maazī hai nā
aaj bhī tujh pe bharosā nahīñ hone detā
bach gayā hai jo tirā thoḌā sā hissa mujh meñ
ab talak mujh ko kisī kā nahīñ hone detā
us kī taḳhlīq meñ hotā jo mirā daḳhl to maiñ
kisī miTTī ko khilaunā nahīñ hone detā
haañ maraz hai magar itnā bhī koī ḳhaas nahīñ
chārāgar ḳhud mujhe achchhā nahīñ hone detā
maiñ to tanhā huuñ magar aur kisī ko 'jāñbāz'
apne hote kabhī tanhā nahīñ hone detā
gar mere hath mein hota nahin hone deta
main kabhi chand ko tujh sa nahin hone deta
ab to sab Thik hai lekin ye jo mazi hai na
aaj bhi tujh pe bharosa nahin hone deta
bach gaya hai jo tera thoDa sa hissa mujh mein
ab talak mujh ko kisi ka nahin hone deta
us ki taKHliq mein hota jo mera daKHl to main
kisi miTTi ko khilauna nahin hone deta
han maraz hai magar itna bhi koi KHas nahin
chaaragar KHud mujhe achchha nahin hone deta
main to tanha hun magar aur kisi ko 'jaanbaz'
apne hote kabhi tanha nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.