gar na hota hai teri ana ke liye
gar na hotā hai terī anā ke liye
to nibhātā na pās-e-vafā ke liye
tum mire zabt par ro paḌoge kahīñ
āzmāo na mujh ko ḳhudā ke liye
sham' tūfāñ kī āġhosh meñ so ga.ī
bujh ga.ī shab taḌap kar ziyā ke liye
ruḳh zarā moḌ le is qafas kī taraf
ai nasīm-e-sahar ab ḳhudā ke liye
gar na hota hai teri ana ke liye
to nibhata na pas-e-wafa ke liye
tum mere zabt par ro paDoge kahin
aazmao na mujh ko KHuda ke liye
sham' tufan ki aaghosh mein so gai
bujh gai shab taDap kar ziya ke liye
ruKH zara moD le is qafas ki taraf
ai nasim-e-sahar ab KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.