gar nahin hai to mere yan nahin hai
gar nahīñ hai to mere yaañ nahīñ hai
rā.egānī kahāñ kahāñ nahīñ hai
jise mauj-e-havā uḌaa.e phire
ye mirā jism hai dhuāñ nahīñ hai
maiñ vahāñ bhī nahīñ jahāñ maiñ huuñ
tū vahāñ bhī hai tū jahāñ nahīñ hai
ab to khul kar milā karo mujh se
ab mohabbat bhī darmiyāñ nahīñ hai
baat karnī hai jānte hue bhī
is jagah jaan kī amaañ nahīñ hai
kal yahāñ ek peḌ thā 'sayyad'
aur ab duur tak nishāñ nahīñ hai
gar nahin hai to mere yan nahin hai
raegani kahan kahan nahin hai
jise mauj-e-hawa uDae phire
ye mera jism hai dhuan nahin hai
main wahan bhi nahin jahan main hun
tu wahan bhi hai tu jahan nahin hai
ab to khul kar mila karo mujh se
ab mohabbat bhi darmiyan nahin hai
baat karni hai jaante hue bhi
is jagah jaan ki aman nahin hai
kal yahan ek peD tha 'sayyad'
aur ab dur tak nishan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.