gar nahin kuchh bhi aap se milna
gar nahīñ kuchh bhī aap se milnā
aap se phir nahīñ mujhe milnā
vaqt māñgā na kar tū milne kā
asl milnā hai bin kahe milnā
yaar kuchh intizām aisā kar
āḳhirī saañs tak rahe milnā
roz milne kā maiñ nahīñ kahtā
zindagī bhar gahe gahe milnā
is se pahle ki ye bhī kho jaa.eñ
qahqahe kuchh rahe sahe milnā
gar nahin kuchh bhi aap se milna
aap se phir nahin mujhe milna
waqt manga na kar tu milne ka
asl milna hai bin kahe milna
yar kuchh intizam aisa kar
aaKHiri sans tak rahe milna
roz milne ka main nahin kahta
zindagi bhar gahe gahe milna
is se pahle ki ye bhi kho jaen
qahqahe kuchh rahe sahe milna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.