gar pareshaniyan nahin aatin
gar pareshāniyāñ nahīñ ātīñ
rishtoñ meñ talḳhiyāñ nahīñ ātīñ
is liye bhī alag huuñ maiñ sab se
mujhe chālākiyāñ nahīñ ātīñ
vo mujhe bhuul hī gayā shāyad
āj-kal hichkiyāñ nahīñ ātīñ
gar na ho zimmadāriyoñ kā bojh
chehre par jhurriyāñ nahīñ ātīñ
bārishoñ kā ḳharāba hai varna
saḌkoñ par kashtiyāñ nahīñ ātīñ
aisā badnām hai mirā gulshan
phūloñ par titliyāñ nahīñ ātīñ
terā ronā faqat dikhāvā hai
jab talak siskiyāñ nahīñ ātīñ
gar pareshaniyan nahin aatin
rishton mein talKHiyan nahin aatin
is liye bhi alag hun main sab se
mujhe chaalakiyan nahin aatin
wo mujhe bhul hi gaya shayad
aaj-kal hichkiyan nahin aatin
gar na ho zimmadariyon ka bojh
chehre par jhurriyan nahin aatin
barishon ka KHaraba hai warna
saDkon par kashtiyan nahin aatin
aisa badnam hai mera gulshan
phulon par titliyan nahin aatin
tera rona faqat dikhawa hai
jab talak siskiyan nahin aatin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.