gar sharik-e-badi nahin hota
gar sharīk-e-badī nahīñ hotā
lahja ab multajī nahīñ hotā
dard vo dard hī nahīñ hotā
dard jo dā.imī nahīñ hotā
kaam jo bā-ḳhushī nahīñ hotā
qā.ede se kabhī nahīñ hotā
dil meñ ishq-e-nabī na ho jab tak
kāmil īmān bhī nahīñ hotā
sar-nigūñ honā diin kī ḳhātir
darja-e-buzdilī nahīñ hotā
zikr hotā hai jab bhī daulat kā
aadmī aadmī nahīñ hotā
qaum behis na gar huī hotī
ālam-e-be-kasī nahīñ hotā
vaar kartā hai jo qarīb aakar
dosto ajnabī nahīñ hotā
jis ko daulat aziiz ho vo ġhanī
ho na ho par saḳhī nahīñ hotā
maiñ ġhalat thā yā huuñ ye mumkin hai
faisla har sahī nahīñ hotā
marzī ke jo ḳhilāf ho rishta
bā.is-e-sarḳhushī nahīñ hotā
be-ġharaz jo nahīñ vo kuchh bhī ho
jazba-e-dostī nahīñ hotā
aap ko shaiḳh kaun samjhā.e
har musalmāñ valī nahīñ hotā
maal fitna hai 'aḳhtar' aur fitna
hāsil-e-zindagī nahīñ hotā
gar sharik-e-badi nahin hota
lahja ab multaji nahin hota
dard wo dard hi nahin hota
dard jo daimi nahin hota
kaam jo ba-KHushi nahin hota
qaede se kabhi nahin hota
dil mein ishq-e-nabi na ho jab tak
kaamil iman bhi nahin hota
sar-nigun hona din ki KHatir
darja-e-buzdili nahin hota
zikr hota hai jab bhi daulat ka
aadmi aadmi nahin hota
qaum behis na gar hui hoti
aalam-e-be-kasi nahin hota
war karta hai jo qarib aakar
dosto ajnabi nahin hota
jis ko daulat aziz ho wo ghani
ho na ho par saKHi nahin hota
main ghalat tha ya hun ye mumkin hai
faisla har sahi nahin hota
marzi ke jo KHilaf ho rishta
bais-e-sarKHushi nahin hota
be-gharaz jo nahin wo kuchh bhi ho
jazba-e-dosti nahin hota
aap ko shaiKH kaun samjhae
har musalman wali nahin hota
mal fitna hai 'aKHtar' aur fitna
hasil-e-zindagi nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.