gar teri palkon se ye ashk-e-rawan gir jaega
gar tirī palkoñ se ye ashk-e-ravāñ gir jā.egā
mere is nāzuk se dil par āsmāñ gir jā.egā
le ḳhabar zaḳhmī haiñ paañv aur thakan se chuur hai
chāhne vaalā tirā jaane kahāñ gir jā.egā
jab tirī ma.asūmiyat kī asliyat khul jā.egī
tab mirī nazroñ meñ ye saarā jahāñ gir jā.egā
ḳhat mirā taa.ir ke par se ḳhud-baḳhud merī saman
aa.egī ḳhushbū jahāñ terī vahāñ gir jā.egā
mahv ho jā.egī terī ik jhalak meñ kā.enāt
sar se jab āñchal tirā hūr-e-jināñ gir jā.egā
gar teri palkon se ye ashk-e-rawan gir jaega
mere is nazuk se dil par aasman gir jaega
le KHabar zaKHmi hain panw aur thakan se chur hai
chahne wala tera jaane kahan gir jaega
jab teri masumiyat ki asliyat khul jaegi
tab meri nazron mein ye sara jahan gir jaega
KHat mera tair ke par se KHud-baKHud meri saman
aaegi KHushbu jahan teri wahan gir jaega
mahw ho jaegi teri ek jhalak mein kaenat
sar se jab aanchal tera hur-e-jinan gir jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.