gar us ka silsila bhi umr-e-jawedan se mile
gar us kā silsila bhī umr-e-jāvedāñ se mile
kisī ko ḳhaak sukūñ marg-e-nā-gahāñ se mile
koī zamīñ se bhī pahuñchā.e āsmāñ ko payām
payām ahl-e-zamīñ ko to āsmāñ se mile
ḳhud apnī gum-shudagī se jinheñ shikāyat hai
tū hī batā unheñ terā nishāñ kahāñ se mile
surāġh-e-umr-e-guzishta mile kahīñ se 'hafīz'
surāġh-e-umr-e-guzishta magar kahāñ se mile
gar us ka silsila bhi umr-e-jawedan se mile
kisi ko KHak sukun marg-e-na-gahan se mile
koi zamin se bhi pahunchae aasman ko payam
payam ahl-e-zamin ko to aasman se mile
KHud apni gum-shudagi se jinhen shikayat hai
tu hi bata unhen tera nishan kahan se mile
suragh-e-umr-e-guzishta mile kahin se 'hafiz'
suragh-e-umr-e-guzishta magar kahan se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.