gar us se rabt mera sirf iKHtilafi tha
gar us se rabt mirā sirf iḳhtilāfī thā
to us kā radd-e-amal qābil-e-muāfī thā
mohabbatoñ meñ mafādāt kaun yaad rakhe
so ham ko apne liye ek naam kaafī thā
charāġh jab bhī jalāyā koī to gul na kiyā
ye raushnī kī rivāyāt ke munāfī thā
use ḳhayāl thā merī shikasta-pā.ī kā
ye jānñā bhī to us zaḳhm kī talāfī thā
'humairā' umr guzārī to e'tibār aayā
ki is makān kā sāmān sab izāfī thā
gar us se rabt mera sirf iKHtilafi tha
to us ka radd-e-amal qabil-e-muafi tha
mohabbaton mein mafadat kaun yaad rakhe
so hum ko apne liye ek nam kafi tha
charagh jab bhi jalaya koi to gul na kiya
ye raushni ki riwayat ke munafi tha
use KHayal tha meri shikasta-pai ka
ye jaanna bhi to us zaKHm ki talafi tha
'humaira' umr guzari to e'tibar aaya
ki is makan ka saman sab izafi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.