gar yaad mein saqi ki saghar nazar aa jae
gar yaad meñ saaqī kī sāġhar nazar aa jaa.e
paimāna-e-dil chhalke muñh ko jigar aa jaa.e
aks-e-ruḳh saaqī ko gar dekh luuñ sāġhar meñ
kuchh dil ke bahalne kī sūrat nazar aa jaa.e
tayyār raho har-dam marne pe kamar bāñdhe
dar-pesh-e-ḳhudā jaane kab ye safar aa jaa.e
haañ sair tū kar ġhāfil us gor-e-ġharībāñ kī
anjām tujhe apnā shāyad nazar aa jaa.e
phir jaa.eñ hamesha ko duniyā se mirī āñkheñ
marte dam agar jalva terā nazar aa jaa.e
shor-e-nafas-e-bulbul se hosh uḌeñ sab ke
gar zamzama-sanjī par ye musht-e-par aa jaa.e
bīmār-e-mohabbat kī ab hai ye duā har-dam
phir shaam na ho jis kī aisī sahar aa jaa.e
behtar hai ḳham-o-sāġhar āñkhoñ se raheñ ojhal
aisā na ho shīshe par dil TuuT kar aa jaa.e
'yās' aap kī be-jurmī aaḌe nahīñ aa saktī
gar baat par apnī vo bedād-gar aa jaa.e
gar yaad mein saqi ki saghar nazar aa jae
paimana-e-dil chhalke munh ko jigar aa jae
aks-e-ruKH saqi ko gar dekh lun saghar mein
kuchh dil ke bahalne ki surat nazar aa jae
tayyar raho har-dam marne pe kamar bandhe
dar-pesh-e-KHuda jaane kab ye safar aa jae
han sair tu kar ghafil us gor-e-ghariban ki
anjam tujhe apna shayad nazar aa jae
phir jaen hamesha ko duniya se meri aankhen
marte dam agar jalwa tera nazar aa jae
shor-e-nafas-e-bulbul se hosh uDen sab ke
gar zamzama-sanji par ye musht-e-par aa jae
bimar-e-mohabbat ki ab hai ye dua har-dam
phir sham na ho jis ki aisi sahar aa jae
behtar hai KHam-o-saghar aankhon se rahen ojhal
aisa na ho shishe par dil TuT kar aa jae
'yas' aap ki be-jurmi aaDe nahin aa sakti
gar baat par apni wo bedad-gar aa jae
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 174)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.