gar ye dil ka makan hai Khaali
gar ye dil kā makān hai ḳhālī
saarī duniyā jahān hai ḳhālī
zindagī meñ nahīñ rahe mele
hasratoñ kī dukān hai ḳhālī
chāñd jaane kahāñ pe kho aa.e
duur tak āsmān hai ḳhālī
marhale aur aane vaale haiñ
ye to ik imtihān hai ḳhālī
machhliyāñ sharm se marī hoñgī
kāñch kā martabān hai ḳhālī
ham to ḳhādim haiñ aap mālik haiñ
ye siyāsī bayān hai ḳhālī
ye na samjheñ ki dil se ḳhālī haiñ
bas zabāñ sāhibān hai ḳhālī
zindagī se abhī nahīñ haare
bas zarā sī takān hai ḳhālī
gar ye dil ka makan hai KHali
sari duniya jahan hai KHali
zindagi mein nahin rahe mele
hasraton ki dukan hai KHali
chand jaane kahan pe kho aae
dur tak aasman hai KHali
marhale aur aane wale hain
ye to ek imtihan hai KHali
machhliyan sharm se mari hongi
kanch ka martaban hai KHali
hum to KHadim hain aap malik hain
ye siyasi bayan hai KHali
ye na samjhen ki dil se KHali hain
bas zaban sahiban hai KHali
zindagi se abhi nahin haare
bas zara si takan hai KHali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.