gar ye himmat hai ki tufan ki zad par rahiye
gar ye himmat hai ki tūfān kī zad par rahiye
nā-ḳhudāoñ ke kamālāt se bach kar rahiye
ghar hai shīshe kā to is daur meñ jiine ke liye
sañg-rezoñ kī qabā oḌh ke dar par rahiye
duur bahtī huī ākāsh kī gañgā se pare
āsmāñ DhūñD na paa.eñ yuuñ simaT kar rahiye
ye ḳhabar hai ki koī barq giregī mujh par
ye ḳhabar sach hai to phir aaj ke din ghar rahiye
mere dil meñ utar aayā hai koī tūfāñ sā
zabt kahtā hai ki idrāk ke paikar rahiye
qatl-gāhoñ meñ bhī sabqat tabhī dī jā.egī
apnī gardan pe salīb apnī uThā kar rahiye
tum ko hālāt se shikva na sahī phir bhī 'anīs'
apne jazbāt kī yalġhār se Dar kar rahiye
gar ye himmat hai ki tufan ki zad par rahiye
na-KHudaon ke kamalat se bach kar rahiye
ghar hai shishe ka to is daur mein jine ke liye
sang-rezon ki qaba oDh ke dar par rahiye
dur bahti hui aakash ki ganga se pare
aasman DhunD na paen yun simaT kar rahiye
ye KHabar hai ki koi barq giregi mujh par
ye KHabar sach hai to phir aaj ke din ghar rahiye
mere dil mein utar aaya hai koi tufan sa
zabt kahta hai ki idrak ke paikar rahiye
qatl-gahon mein bhi sabqat tabhi di jaegi
apni gardan pe salib apni uTha kar rahiye
tum ko haalat se shikwa na sahi phir bhi 'anis'
apne jazbaat ki yalghaar se Dar kar rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.