gar zaban zulm-o-sitam ki na duhai degi
gar zabāñ zulm-o-sitam kī na duhā.ī degī
amn kī raah bhalā kaise dikhā.ī degī
ik zarā ḳhauf ke 'ālam se nikalnā hogā
terī āvāz zamāne ko sunā.ī degī
qaid yūsuf ko hī kar leñge zamāne vaale
ye zuleḳhā to bas ik baar safā.ī degī
vo samā'at mujhe baḳhshī hai mohabbat ne sanam
terī dhaḌkan bhī yahāñ mujh ko sunā.ī degī
dil ne ik baar jo tūfān meñ kashtī Daalī
'aql ko phir na koī baat sujhā.ī degī
dil meñ ġham ho to ye duniyā bhī lagegī ġhamgīñ
dil ho rangīn to rangīn dikhā.ī degī
us se duurī kā natīja hai mirī dar-ba-darī
us kī qurbat se hī ab raah dikhā.ī degī
gar zaban zulm-o-sitam ki na duhai degi
amn ki rah bhala kaise dikhai degi
ek zara KHauf ke 'alam se nikalna hoga
teri aawaz zamane ko sunai degi
qaid yusuf ko hi kar lenge zamane wale
ye zuleKHa to bas ek bar safai degi
wo sama'at mujhe baKHshi hai mohabbat ne sanam
teri dhaDkan bhi yahan mujh ko sunai degi
dil ne ek bar jo tufan mein kashti Dali
'aql ko phir na koi baat sujhai degi
dil mein gham ho to ye duniya bhi lagegi ghamgin
dil ho rangin to rangin dikhai degi
us se duri ka natija hai meri dar-ba-dari
us ki qurbat se hi ab rah dikhai degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.