gharaz-ki murid-e-ilzam ho gaya main bhi
ġharaz-ki mūrid-e-ilzām ho gayā maiñ bhī
kisī ke saath meñ badnām ho gayā maiñ bhī
rahā maiñ gardish-e-daurāñ ke saath gardish meñ
sharīk-e-gardish-e-ayyām ho gayā maiñ bhī
vo ek shorish-e-sar thī ki daar tak pahuñchā
vo ibtidā thī to anjām ho gayā maiñ bhī
'ajab asar huā sohbat kā un hasīnoñ kī
guloñ meñ kyā rahā gulfām ho gayā maiñ bhī
maiñ apnī aag meñ jaltā rahā huuñ misl-e-shams
na kyoñ ġhurūb sar-e-shām ho gayā maiñ bhī
natīja dekh liyā maiñ ne ishq kā shāhid
har ek kaam meñ nākām ho gayā maiñ bhī
gharaz-ki murid-e-ilzam ho gaya main bhi
kisi ke sath mein badnam ho gaya main bhi
raha main gardish-e-dauran ke sath gardish mein
sharik-e-gardish-e-ayyam ho gaya main bhi
wo ek shorish-e-sar thi ki dar tak pahuncha
wo ibtida thi to anjam ho gaya main bhi
'ajab asar hua sohbat ka un hasinon ki
gulon mein kya raha gulfam ho gaya main bhi
main apni aag mein jalta raha hun misl-e-shams
na kyon ghurub sar-e-sham ho gaya main bhi
natija dekh liya main ne ishq ka shahid
har ek kaam mein nakaam ho gaya main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.