gharaz kisi se na ai dost tum kabhu rakhiyo
ġharaz kisī se na ai dost tum kabhū rakhiyo
bas apne haath yahāñ apnī aabrū rakhiyo
zamāna sang sahī aa.ine kī ḳhū rakhiyo
jo dil meñ rakhiyo vahī sab ke rū-ba-rū rakhiyo
rafū-garān-e-ḳhirad ke na jā.iyo nazdīk
balā se pairhan-e-chāk be-rafū rakhiyo
charāġh ghar meñ mayassar nahīñ rahe na sahī
jalā.e dil meñ magar sham'-e-ārzū rakhiyo
na jaane kaun use toḌ-phoḌ kar rakh de
bahut sañbhāl ke is bazm meñ subū rakhiyo
har ek zarf barābar nahīñ hai ai bulbul
jo aag siine meñ rakkhūñ huuñ maiñ na tū rakhiyo
yahī bachā.egī shamshīr-e-vaqt se 'ājiz'
hamārī baat qarīb-e-rag-e-gulū rakhiyo
gharaz kisi se na ai dost tum kabhu rakhiyo
bas apne hath yahan apni aabru rakhiyo
zamana sang sahi aaine ki KHu rakhiyo
jo dil mein rakhiyo wahi sab ke ru-ba-ru rakhiyo
rafu-garan-e-KHirad ke na jaiyo nazdik
bala se pairhan-e-chaak be-rafu rakhiyo
charagh ghar mein mayassar nahin rahe na sahi
jalae dil mein magar sham'-e-arzu rakhiyo
na jaane kaun use toD-phoD kar rakh de
bahut sanbhaal ke is bazm mein subu rakhiyo
har ek zarf barabar nahin hai ai bulbul
jo aag sine mein rakkhun hun main na tu rakhiyo
yahi bachaegi shamshir-e-waqt se 'ajiz'
hamari baat qarib-e-rag-e-gulu rakhiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.