garche aisa sada nahin hota
garche aisā sadā nahīñ hotā
haañ kabhī kuchh pata nahīñ hotā
log milne ko mil hī jaate haiñ
un se par sāmnā nahīñ hotā
rasm-e-duniyā nibhā rahe haiñ ham
ḳhud se hī rābta nahīñ hotā
bin piye bhī ka.ī bahakte haiñ
ham ko pī kar nasha nahīñ hotā
un ko but hī samajh ke puujā thā
pūjne se ḳhudā nahīñ hotā
kahne sunñe se kyā nahīñ hotā
aadmī yuuñ burā nahīñ hotā
ye ghaḌī ab ki aan pahuñchī hai
dil meñ vo valvala nahīñ hotā
be-ġharaz kaun hai yahāñ 'zāhid'
mil ke bhī fā.eda nahīñ hotā
garche aisa sada nahin hota
han kabhi kuchh pata nahin hota
log milne ko mil hi jate hain
un se par samna nahin hota
rasm-e-duniya nibha rahe hain hum
KHud se hi rabta nahin hota
bin piye bhi kai bahakte hain
hum ko pi kar nasha nahin hota
un ko but hi samajh ke puja tha
pujne se KHuda nahin hota
kahne sunne se kya nahin hota
aadmi yun bura nahin hota
ye ghaDi ab ki aan pahunchi hai
dil mein wo walwala nahin hota
be-gharaz kaun hai yahan 'zahid'
mil ke bhi faeda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.