garche aulad ban ke baiThe hain
garche aulād ban ke baiThe haiñ
faḳhr-e-ajdād ban ke baiThe haiñ
tum bhī ban jaao 'ishq meñ shīrīñ
ham to farhād ban ke baiThe haiñ
ban ke baiThe haiñ vo sarāpā ġhazal
aur ham daad ban ke baiThe haiñ
tū agarche hameñ bhulā baiThā
ham tirī yaad ban ke baiThe haiñ
pur-fitan daur hai bache rahnā
log jallād ban ke baiThe haiñ
kaise maa.il na ho koī 'faisal'
vo parī-zād ban ke baiThe haiñ
garche aulad ban ke baiThe hain
faKHr-e-ajdad ban ke baiThe hain
tum bhi ban jao 'ishq mein shirin
hum to farhad ban ke baiThe hain
ban ke baiThe hain wo sarapa ghazal
aur hum dad ban ke baiThe hain
tu agarche hamein bhula baiTha
hum teri yaad ban ke baiThe hain
pur-fitan daur hai bache rahna
log jallad ban ke baiThe hain
kaise mail na ho koi 'faisal'
wo pari-zad ban ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.