garche banta nahin Dhab sone ka jaanan se lipaT
garche banta nahin Dhab sone ka jaanan se lipaT
Fakhruddin Khan Mahir
MORE BYFakhruddin Khan Mahir
garche bantā nahīñ Dhab sone kā jānāñ se lipaT
ek din jā.ūñgā par us ke maiñ dāmāñ se lipaT
ai falak tujh se tamannā hai ki is jaaḌe meñ
soiye garm ho is mehr-e-daraḳhshāñ se lipaT
baad muddat jo use sair-e-chaman meñ dekhā
maiñ gayā dauḌ ke is sarv-ḳhirāmāñ se lipaT
bāġhbāñ ne jo na dī rif.at-e-gul-gasht hameñ
but se ho rah ga.e dīvār-e-gulistāñ se lipaT
'māhir' us shoḳh ne jab tiir nigah kā pheñkā
us ke paikān rahe aah rag-e-jāñ se lipaT
garche banta nahin Dhab sone ka jaanan se lipaT
ek din jaunga par us ke main daman se lipaT
ai falak tujh se tamanna hai ki is jaDe mein
soiye garm ho is mehr-e-daraKHshan se lipaT
baad muddat jo use sair-e-chaman mein dekha
main gaya dauD ke is sarw-KHiraman se lipaT
baghban ne jo na di rifat-e-gul-gasht hamein
but se ho rah gae diwar-e-gulistan se lipaT
'mahir' us shoKH ne jab tir nigah ka phenka
us ke paikan rahe aah rag-e-jaan se lipaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.