garche mahfuz rahe phul samar hone tak
garche mahfuz rahe phul samar hone tak
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
garche mahfūz rahe phuul samar hone tak
phir unheñ rok na pāoge shajar hone tak
dil meñ bas jaao ki ye dar-ba-darī Thiik nahīñ
is makāñ meñ hī raho tum koī ghar hone tak
tum to sūraj ke parastār ho tum kyā jaano
kyā guzar jaatī hai ik shab pe sahar hone tak
thakne vaale nahīñ is raah ke raahī hargiz
karte jā.eñge safar gard-e-safar hone tak
hausle zarra-e-nāchīz ke dekho 'qaisar'
zulmat-e-shab se laḌe shams-o-qamar hone tak
garche mahfuz rahe phul samar hone tak
phir unhen rok na paoge shajar hone tak
dil mein bas jao ki ye dar-ba-dari Thik nahin
is makan mein hi raho tum koi ghar hone tak
tum to suraj ke parastar ho tum kya jaano
kya guzar jati hai ek shab pe sahar hone tak
thakne wale nahin is rah ke rahi hargiz
karte jaenge safar gard-e-safar hone tak
hausle zarra-e-nachiz ke dekho 'qaisar'
zulmat-e-shab se laDe shams-o-qamar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.