garche zāhir meñ haiñ ahvāl munavvar saare
raqs karte haiñ añdhere mire andar saare
mauja-e-dard banā degā unheñ misl-e-sabā
vo jo phirte haiñ yahāñ sūrat-e-sarsar saare
dāġh-e-dil mere farozāñ haiñ zamīñ par aise
chhupte phirte haiñ falak par mah-o-aḳhtar saare
mire dariyā-e-suḳhan se hai 'ilāqa kaisā
vo to pāyāb nadī ke haiñ shanāvar saare
tishnagī zaaġh ne apnī to bujhā lī pal meñ
haif gāgar meñ paḌe rah ga.e kankar saare
kaun bantā hai safīna yahāñ kis kī ḳhātir
yuuñ to maujūd haiñ dariyā meñ shanāvar saare
rāh-rau aur bhī duniyā meñ haiñ 'arshad' lekin
merī hī raah meñ paḌte haiñ samundar saare
garche zahir mein hain ahwal munawwar sare
raqs karte hain andhere mere andar sare
mauja-e-dard bana dega unhen misl-e-saba
wo jo phirte hain yahan surat-e-sarsar sare
dagh-e-dil mere farozan hain zamin par aise
chhupte phirte hain falak par mah-o-aKHtar sare
mere dariya-e-suKHan se hai 'ilaqa kaisa
wo to payab nadi ke hain shanawar sare
tishnagi zagh ne apni to bujha li pal mein
haif gagar mein paDe rah gae kankar sare
kaun banta hai safina yahan kis ki KHatir
yun to maujud hain dariya mein shanawar sare
rah-rau aur bhi duniya mein hain 'arshad' lekin
meri hi rah mein paDte hain samundar sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.