gard apni utarta hun zara
gard apnī utārtā huuñ zarā
ye shab-o-roz jhāḌtā huuñ zarā
kār-e-duniyā koī ri.āyat kar
fursat-e-ḳhvāb chāhtā huuñ zarā
ab maiñ itnā bhī sabr vaalā nahīñ
gaahe gaahe karāhtā huuñ zarā
ik to maiñ chāhtā huuñ tanhā.ī
ik tirā saath chāhtā huuñ zarā
karne vaalā hai ik sitāra kalām
thoḌī der aur jāgtā huuñ zarā
gard apni utarta hun zara
ye shab-o-roz jhaDta hun zara
kar-e-duniya koi riayat kar
fursat-e-KHwab chahta hun zara
ab main itna bhi sabr wala nahin
gahe gahe karahta hun zara
ek to main chahta hun tanhai
ek tera sath chahta hun zara
karne wala hai ek sitara kalam
thoDi der aur jagta hun zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.