gard-baad-e-safar se Dar jate
gard-bād-e-safar se Dar jaate
rā.egāñ umroñ ke safar jaate
bachchoñ kī tarah zid ke pakke the
kaise tere baġhair ghar jaate
bojh lagne lage the jab itne
apne va.adoñ se tum mukar jaate
ham the dīvār se lagī tasvīr
aaj nā kal sahī utar jaate
ai mohabbat Thahar ke aa jaatī
ye kaḌe vaqt to guzar jaate
zindagī ke liye zarūrī thā
vaqt par chand ḳhvāb mar jaate
umr bhar rukne kā kahā kis ne
bas ghaḌī do-ghaḌī Thahar jaate
chāra-gar baat ik nazar kī thī
aur mire saare zaḳhm bhar jaate
gard-baad-e-safar se Dar jate
raegan umron ke safar jate
bachchon ki tarah zid ke pakke the
kaise tere baghair ghar jate
bojh lagne lage the jab itne
apne wadon se tum mukar jate
hum the diwar se lagi taswir
aaj na kal sahi utar jate
ai mohabbat Thahar ke aa jati
ye kaDe waqt to guzar jate
zindagi ke liye zaruri tha
waqt par chand KHwab mar jate
umr bhar rukne ka kaha kis ne
bas ghaDi do-ghaDi Thahar jate
chaara-gar baat ek nazar ki thi
aur mere sare zaKHm bhar jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.