gard-baad-e-sharar hain hum log
gard-bād-e-sharār haiñ ham log
kis ke jī kā ġhubār haiñ ham log
aa ki hāsil ho nāz-e-izz-o-sharaf
aa tirī rahguzār haiñ ham log
be-kajāva hai nāqa-e-duniyā
aur zaḳhmī savār haiñ ham log
jabr ke baab meñ farozāñ haiñ
hāsil-e-iḳhtiyār haiñ ham log
phir badan meñ thakan kī gard liye
phir lab-e-jū-e-bār haiñ ham log
bād-e-sarsar kabhī to bād-e-sumūm
mauja-e-ḳhāksār haiñ ham log
chashm-e-nargis magar aliil bhī hai
kis liye be-kanār haiñ ham log
gard-baad-e-sharar hain hum log
kis ke ji ka ghubar hain hum log
aa ki hasil ho naz-e-izz-o-sharaf
aa teri rahguzar hain hum log
be-kajawa hai naqa-e-duniya
aur zaKHmi sawar hain hum log
jabr ke bab mein farozan hain
hasil-e-iKHtiyar hain hum log
phir badan mein thakan ki gard liye
phir lab-e-ju-e-bar hain hum log
baad-e-sarsar kabhi to baad-e-sumum
mauja-e-KHaksar hain hum log
chashm-e-nargis magar alil bhi hai
kis liye be-kanar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.