gard-e-guman hawa-e-yaqin baiThne lagi
gard-e-gumāñ havā-e-yaqīñ baiThne lagī
baiThe na āsmāñ ki zamīñ baiThne lagī
sar yuuñ uThā rahī hai tamannā-e-kū-e-yār
phir ārzu-e-ḳhuld-e-barīñ baiThne lagī
ham be-makāñ hue ki hamāre makān meñ
ab be-gharī hī ban ke makīñ baiThne lagī
aisā nahīñ ki shak hai mujhe us ke aane meñ
lekin ye kyā ki nabz-e-yaqīñ baiThne lagī
tūfān tham gayā to rukī zarre kī uḌaan
thī jis jagah kī ḳhaak vahīñ baiThne lagī
hālāñki vo khaḌā hai isī par jamā ke paañv
phir kyā kiyā falak ne zamīñ baiThne lagī
ai 'badr' tere she'r kā lahja hai dil-nashīñ
har baat mere dil meñ kahīñ baiThne lagī
gard-e-guman hawa-e-yaqin baiThne lagi
baiThe na aasman ki zamin baiThne lagi
sar yun uTha rahi hai tamanna-e-ku-e-yar
phir aarzu-e-KHuld-e-barin baiThne lagi
hum be-makan hue ki hamare makan mein
ab be-ghari hi ban ke makin baiThne lagi
aisa nahin ki shak hai mujhe us ke aane mein
lekin ye kya ki nabz-e-yaqin baiThne lagi
tufan tham gaya to ruki zarre ki uDan
thi jis jagah ki KHak wahin baiThne lagi
haalanki wo khaDa hai isi par jama ke panw
phir kya kiya falak ne zamin baiThne lagi
ai 'badr' tere she'r ka lahja hai dil-nashin
har baat mere dil mein kahin baiThne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.