gard-e-rah-e-karwan rahe hain
gard-e-rah-e-kārvāñ rahe haiñ
ham manziloñ ke nishāñ rahe haiñ
kuchh ham bhī rahe haiñ apne dushman
kuchh aap bhī mehrbāñ rahe haiñ
kashtī hī na lag sakī kināre
dariyā to bahut ravāñ rahe haiñ
jab tum hameñ yaad aa ga.e ho
ai dost to ham kahāñ rahe haiñ
ma.alūm huā ki jān-e-jāñ tak
haa.il hamīñ darmiyāñ rahe haiñ
ab yuuñ na ye bastiyāñ ujāḌo
kuchh log kabhī yahāñ rahe haiñ
'shaukat' vahī husn-o-ishq ke giit
ham bhī to fasāna-ḳhvāñ rahe haiñ
gard-e-rah-e-karwan rahe hain
hum manzilon ke nishan rahe hain
kuchh hum bhi rahe hain apne dushman
kuchh aap bhi mehrban rahe hain
kashti hi na lag saki kinare
dariya to bahut rawan rahe hain
jab tum hamein yaad aa gae ho
ai dost to hum kahan rahe hain
malum hua ki jaan-e-jaan tak
hail hamin darmiyan rahe hain
ab yun na ye bastiyan ujaDo
kuchh log kabhi yahan rahe hain
'shaukat' wahi husn-o-ishq ke git
hum bhi to fasana-KHwan rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.