gard hai zar hai sim hai zarra
gard hai zar hai siim hai zarra
shakl meñ farq-e-mīm hai zarra
yuuñ to reza hai juz hai sham.a hai
kul meñ lekin jasīm hai zarra
mehr kī raushnī meñ rauzan se
dekho kitnā aziim hai zarra
kahīñ ye shams hai kahīñ ye qamar
jis jagah hai aziim hai zarra
munqasim hone se hai jo ma.azūr
ye vo durr-e-yatīm hai zarra
pūchhiye hurriyat-pasandoñ se
sub.h-e-nau kī nasīm hai zarra
nukta-e-hikmat-o-tadabbur hai
jis jagah bhī muqīm hai zarra
munqasim kaise hoeñ harf bhī qat.a
'hilm' lafz-e-qadīm hai zarra
gard hai zar hai sim hai zarra
shakl mein farq-e-mim hai zarra
yun to reza hai juz hai shama hai
kul mein lekin jasim hai zarra
mehr ki raushni mein rauzan se
dekho kitna azim hai zarra
kahin ye shams hai kahin ye qamar
jis jagah hai azim hai zarra
munqasim hone se hai jo mazur
ye wo durr-e-yatim hai zarra
puchhiye hurriyat-pasandon se
subh-e-nau ki nasim hai zarra
nukta-e-hikmat-o-tadabbur hai
jis jagah bhi muqim hai zarra
munqasim kaise hoen harf bhi qata
'hilm' lafz-e-qadim hai zarra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.